Saturday, October 11, 2014

Mohabbaton ka pata chalega


Mohabaton ka pata chalega

Hadood-e-Jaan sy guzar hua too Mohabaton ka pata chalega
Mohabaton ki nezer hua too
Mohabaton ka pata chalega

Abhi to phirte ho Doston main, Aziz koi Juda nahi hai
Koi idher sy udher hua too
Mohabaton ka pata chalega

Ye Khush Naseebi hai sheher bher mai ,Tumhara Dushman nahi hai koi
Kabhi kisi ka jo Der hua too
Mohabaton ka pata chalega

Ye Fasla sa abhi talak jo humary dono k dermiyaan hai
Ye Fasla mukhtaser hua too
Mohabaton ka pata chalega

Abhi Mohabat nahi hui to kuch is liye Muskra rahy ho
Kisi ki bahoo'n mai Gher hua too
Mohabaton ka pata chalega

Mohabaton mai to Pathero ko bhi Moom hote suna hai lakin
Tumhare DIL pey Aser hua too
Mohabaton ka pata chalega

Woh jiski khatir Zamany bher ko bana rhy ho tum apna Dushman
Wohi na apna ager hua too
Mohabaton ka pata chalega

Badal badal k abhi to Chehry Mayaar apna bana rhy ho
Koi na Had-e-Nezer hua too
Mohabaton ka pata chalega

Ye kia Bicherna k Sham hote hi apne Payaroo mai loot ana
Kabhi jo Lamba Safer hua too
Mohabaton ka pata chalega.....!!!!!

Mohabbaton ka Pata chalega


نا آشنا لوگ !

احساس ِ مروت سے نا آشنا لوگ !
زہر لگتے ہیں -- جب محبت کی بات کرتے ہیں ..