Saturday, August 29, 2009

Main Ne Us Zaat Pe Likhne ki Jisarat ki Hai,
Jis k Daaman Pe Farishtoon Ne Ibaadat ki Hai.
Kis ki jurrat Mere AAQA k Baraabar Aaye,
Mere AAQA Ne to Nabiyon ki Imaamat ki Hai.
Zakham kha kar Bhi jo Phoolon ki Ridaein Bakhshe,
Mere AAQA Ne Tu kaanton Se Muhabbat ki Hai.
ALLAH ALLAH Wo kya Log Thay Jin Logon Ne,
Chalte Phirte Mere AAQA ki Ziyarat ki Hai.
Aasmanoon Pe Zameenon Pe Hukomat ki He,
"Jisne Mere AAQA ki Eta'at ki Hai.

Jb Kbi Hm Bachy Hoty Thy!
Apny Group K Leader Hoty They!
Intekhabi Nishan Feedar Hoty They!
Biscuit Toffian Khorak Thi Apni!
Sirf Muhabat Zaat Thi Apni!
Dil Chaha To Hans Liya Wrna Aksar Ro Liya Kartey They!
Kulfian Khani Or Khoo Khoo!
Naak Bahni Or Shoo Shoo!
Amma Abba Hmary Hakeem Hoty They!
Jab Kbi Hum Bachy Hoty They!
Apny Waqt K Prince Hoty They!
Wo Waqt Suhana Kho Gya!
Wo Pyar Ka Trana Kho Gya!
Jb Se Bary Ho Gye!
Khud Se Juda Ho Gye..!

Usko itna faqt bata dena
Itna asaan nhi bhula dena
Teri yadain bi tere jesi hain
Unko ata hy bas rula dena
Chupaye rakhna dil k zakhmon ko
Sataye dard to muskura dena
Log zalim hain unki adat hy
Uthe shoolon ko bas hawa dena
Ab nhi aye ga lot kr wo
Chor do usko tum bas yehi sada dena.

Bhula sko to bare shoq se bhula do muje,
Magar me kese bhula don tumen bata do muje.
Sivae wafa k meri zindgi me kuch b nhe,
Wafa jurm hy to is jurm ki saza do muje.
Lipat na jaon ma damn se ye khayal rhy,
Tumhen ya haq ha k tum khaak me mila do mujhy.
Bhula sko to bare shoq se bhula do mujhy..

Dil behal jay to log chor detey hain..
Koi aur mil jay to log chor detey hain..
4 din ki chandni ka kiya karna?
Chandni dhal jae to log chor detey hain..
Qasmain to khatey hain sada sath deney ki...
zehan badal jay to log chor detey hain..
Aj kal k logon ka kiya bharosa..
Mosam badal jay to log chor detey hain...
LOG
Muhabat kartey hain matlab k liye.
Matlab nikal jay log chor detey hain........

("SHIKWAY")
"Door Reh kar b kareeb kitney hain,
"Fasley b Ajeeb kitney hain,
"Dard-E-Dil ki Dawa nehi warna,"
Es jahan mein Tabeeb kitney hain,
"Umer bhar Sath jo rahe Terey,
"Us k Achey Naseeb kitney hain,
"Kiyo na Aaya Terey sapnoo mein,
"Merey Shikwey Ajeeb kitney hain.

Raat Ka Aakhri Pehar Tha...!
MuJh Se Chaand Ne Kaha'
Humnasheen Alvida'
MuJh Ko Neend Aa Rahi Hai'
Kal Milain Ge isi Jagah'
Main Sun Kar Muskura Diya'
Us Ko Batla Diya'
Jaanay walay Lout'tay Nahi'
Tum Nahi aao Ge'
MuJhe Hai Yaqeen'
Meri Baat Sun Ke Woh Ruk Gaya'
Aur Kehnay Laga'
Tum Se Wada Karoon'
Phir Poora Na Kroon'
Aisa Mumkin Nahi'
Sun Aey HumnasheeN'
Main CHAAND Hoon Insaan Nahi...!.!

Ye zra zra c bat pe
Trha trha k azab q
Jo kisi se b khafa na ho
Mje us KHUDA ki tlash hy
Mje larzishom pe hr koi
Tokta hy bar bar
Jisse kr k dil ko dukh na ho
Mje us GUNAH ki tlash hy
Bina hmsfr kb talak
Koi musafaton me lga rahe
Jahan koi kisi se juda na ho
Mje us RAAH ki tlash hy
Mje dekh kr jo ik nazar
Mre sare dard smjh sakay
Jo iss qdr ho chara gar
Mje us NIGAH ki tlash hy

Ik na ik rooz to rukhsat karta...
Muj se kitni hi Mohabat karta.
Sab ruten aa k chali jati hain...
Mosam e Gham b to hijarat karta.
Mere lehje main gharoor aya tha...
Us ka haq tha k shikayat karta.
Kuch to thi meri khata, Warna wo kun...
Is tarha tark e rafaqat karta.
Aur us se na rahi koi talab...
Bus mere pyar ki izat karta.

Jalte honton pe tabasum jo machalta hai kabhi
Zakham dhul jate hain saawan jo barsta hai kabhi
Maine sochon main tarashe hein khadokhal usk
Mere bare main bata us ne ß socha hai kabhi?
Charhte suraj se kabhi usne milai hai nazar?
us ne kirnon ki taraf gor se dekha hai kabi?
Log pathar men khilate hain umeedon k gulab
ye ß mumkin hai bata aisa ß hota hai kbi?
Us ne samjha tha k ma loat k Ajaonga
Ankh se bichra huwa ashk ß lota hai kbi...?

Raz e dil na suna na kisi ko FARAZ.
Dunya ma sab hamraz badal jaty hain.
Kisi k bicharne se koi mar to nahi jata.
Han magar jiene k andaz badal jaty hain....!

Main logon se mulaqaton k lmhe yad rakhta hon,
Main baten bhool Bhi jaon to LEHJAY yaad rakhta hon.
Sar e mehfil nigahen mujh pe jin logon ki parti hein,
Nigahon k m'aeni se wo chehre yaad rakhta hu.
Zara sa HAT k chalta hun zamane ki riwayt se,
K jin pe bojh main daalon wo KANDHE yaad rakhta hon...!

Wo husn_e_mujassm kamal us ki ankhain.
Sarapa muhabat jamal us ki ankhain.
Main jab b puchoon swaal us se koi.
Muje roz deti hain taal us ki ankhain.
Jo bechey to 2no jahan de k le loo.
Wo chehra wo zulfain wo gaal, us ki ankhain.
Agr koi puchy k dunya main kia hai.
Zmana de ga misal uski ankhain..

Ye dard mit gya to phr!
Ye zakhm sil gya to phr!
Bichr k sochta hon mein,
Wo phr sy mil gya to phr!
Mein titliyon k Shehr may rahon to mujh ko fiqr hy,
Wo phol jo khila nai,wo phool khil gya to phr!
Tumhen b kuch nahi mila,
Mujhe b kuch nahi mila!
Tmam umr k liye ye drd mil gya to phr!
Mein is liye to aj tk Sawal b na kr ska
Agr mere sawal ka jwab mil gya to phr!
Ye theek hy k laut kr mery he dil may ao gy,
Mgr ye soch lo zraBadal ye dil gya
to Phr!

Mujhse meri mhbt k fasanay na kaho.
Mujhko kehne do k mene unhen chaha he nahi.
Or wo mustt nigahain mjhe bhool gyin.
Mene unn mastt nigahon ko saraha he nahi .
Mjhko kehne do me aaj b g skta hun.
Ishq nakaam sahiZndgi nakaam nahi.
Unnko apnane ki khwahsh unko pane ki talab.
Shoq bekaar sahi, Sayi gum anjaam nahi.
Wo he gaisoo wohe nzrain wohe aariz wohe jism.
Me jo chahoon tu mje or b mil skte hyn.
Wo kanwal jinko kbi un k lye khlna tha.
Unki nzron se bht dur b khl skte hyn.
Tere honton pe tabbasum ki wo halki c lakir.
Mre takhyyul me reh reh k jhalak uthti hy.
U achanak tre aariz ka khyal ata hy.
Jse zulmt me koi shama bhark uthti hy .
Tere pairahan.e. Junoon khaiz ki rangin mehak
Khwb bun bun k mre zehan me lehrati hy.
Raat ki srd khmoshi me hr ik jhonkay se.
Tre unfaas tre jsm ki aanch ati hy.
Me sulagtay hue raazon ko ayyaan tu krdoon.
Lekn in razon ki tash'heer se g darta hy.
Rat k khwab ujalon me bayaan tu krdun,
In haseen khwabo ki tabeer se g drta ha.
Tri sanso ki thakan tri nigaho ka sakut.
Dar haqiqat koi rangin shrart he na ho.
Me jise pyar ka andaz smaj betha hoon.
WO TABBASUM WO TAKKALUM TERI AADAT HE NA HO.
Sochta hun k tje mil k me jis soch me hun.
Phle uss soch ka mqsum smjh loon tu kahoon.
Me tre shehar me unjaan hun pardesi hun.
Tre altaf ka mfhum smjh lun tu khun.
Kahin aisa na ho paaon mere tharra jayen.
Or tri marmareen banhon ka. sahara na mile.
Ashk behte rahen khamosh syyah raton me.
Or tre reshmi anchl ka kinara na mile.
(Saahir Ludhyanavi)

Khoobiyan itni to nahi hum main,
K aap ko kabhi yaad aayen ge...
Per itna aitebar hai hamain khud per,
K aap humain kabhi bhool na payen ge.


"Jeetay" Hain To Koi "Haal" Tak Bi Nahi Puchhta "SAHIL"~,
"Martay" Hain To "Kandhon" Pe "Utha" Lete Hai Log.. ...


Ham Chahte Thy Jinko Wo Dil Dukha Gaye,
Kuch Aise Log Thy Jo Hmko Rula Gaye,
Jin Logo Se Hmko Tawaqqo Wafa Ki Thi,
Wo Log Dil Se Naqsh-E-Wafa Tk Mita Gaye.

Mohabbat jeet hoti hy
magar ye haar jati hy.
Kabhi dil soz lamhon se
Kabhi bekaar rasmo se
Kabhi takdeer walon se
Kabhi majboor kasmo se
Magar ye haar jati ha
Kabhi ye phool jesi ha
Kabhi ye dhool jesi ha
Kabhi ye chand jesi ha
Kabhi ye dhoop jesi ha
Kabhi masroor krti ha
Kabhi ye rog deti ha
Kisi ka chen bnti ha
kisi ko rol deti ha
Kabhi lay par jati ha
Kabhi ye maar jati ha
Mohabbat jeet hoti ha
mgr ye haar jati hai....

Hum se na sahi,ghairon se sahi,
tmhain dil ka lgana aa to gya..
Dunya me kisi k ho to gae,
tumhain pyar nibhana aa to gya..
Phoolon k khawab dikhaey mujhe,
or dy di baharain auron ko..
Dil mera raha veeran to kia,
Gul tumko khilana aa to gya..
Bethy ho kisi k pehloo main,
Aankhon me chamakta pyar liye,
Me khush hun kisi ki qismat me,
ye waqt suhana aa to gya..

Kitna ajeeb hy logon ka andaz-e-mohabbat ==SAQI==
Roz ik naya zakhm dy kr kehtay hain" Apna Khayal Rakhna " . .


Yun Tot k chahna Tera imaan ho Shayad
Tere Seene Mai Bhi koi tofaan ho Shayad
Mat Mujhe Azma Itna K dam nikal jaye
Mere Wajood Mai Teri Bhi Jaan ho shayad.


Koi Wada Nahi Phir Bi Intezar Tha
Door Hone K Bad Bi Aap Se pyar Tha
Aap K Chehre Ki Muskurahat Bata Rahi He
Aap Ko Mere Hi sMs Ka Intezar Tha.

Wednesday, August 26, 2009

,*, BEBASI ,*,
Mosam badal gaye zamaanay badal gaye
Lamhon main dost barson puranay badal gaye
Din bhar rahay jo meri mohabat ki chaaon main
Wo log dhoop dhaltay hi thikane badal gaye
Kal jin k lafz lafz men chahat thi pyar tha
Lo aaj un labon k taraney badal gaye
Ek shaks kya gia mera shaher chorh ker
Jene k sare dhang bahane badal gye
Ab wo wo na raha men men na raha
Sare hi zindagi k fasane badal gaye...

Uljhay huay haalat ka shikwa na kia kar
khairaat mein khushiyon ki tamanna na kia kar
So baar kaha itni mohabat nhi achi
So baar kaha itna bharosa na kia kar
Halaat tujhko mujhse na milne kabhi dein gay
Ae dost mere...meri tamanna na kia kar
Kya janey ye kis morr pey ley jaey zamana
Tu mujh ko kisi pal b elehda na kia kar
Mumkin hay kisi roz bichar jaon achanak
Tu mujh sy piyar itna ziyada na kia kar. . .

."Sirf" "itna" "usay" "bta" "dena",
"Mujy" "ata" "nhe" "bhula" "dena",
"Meri" "batain" "to" "sirf" "batain" "hain",
"Yaad" "ayen" "kabhi" "to" "muskura" "dena .. .



Main kaisy maan lon mry "UDAAS" angan main koi nhi hai ''.!M0HSIN!........!. . .
.Main rota hun to kisi k HSNAY ki saada aati hai..


"Jab kabhi toot kar bikhro to batana mujh ko Mohsin,
"Mein tumhein rait k zarron se b chun saktä hoon".. !

Bañd Dreechy, Sooni galiyaañ,
Un'dekhy An'jany Log,
Kis Nagri mein aa niklay haiñ,
pagal Hum deewane Log,
Ek hum he na wakif thehry,
roop nagr ki galiyoñ se,
Bhais badal kr milney waly,
Sb janey pehchany Log,
Shikwa kia aur shikayat kesi?
aakhir kuch Buniyad to ho,
Tum pr mera Haq he kia hai?
hum thehry be-gany Log,
Shehr kahañ khali rehta hai,
ye Darya hr dam behta hai,
Our bohat se mil jayeñ gy,
Hum jesey deewany Log....!!

Dard Kia Hota Hai,
Btaien ge Kisi Roz,
Kamal Ki Ghazal
TumKo Sunaien Ge Kisi Roz..
Thi Un Ki Zid Ke
,Main jaon Un Ko Manany!
MujhKo Ye Wehm Tha
Wo bulaien ge kisi Roz,
Us RAB ki qasam,
main ne to socha bhi nahi tha,
wo itna merey dil ko dukahien ge kisi Roz..
har roz aeiney se yahi puchta hoon main.
kia rukh pe tabassum bi sajaien Ge kisi roz..
Urney do in prindon ko azad fiza main
Tumhary hon ge to laot hi ayen ge kisi Roz..

"*._ Tu Jab Bhi "*._ Koi DUA Karey..
"*._ Mera RAB Tujhay "*._ Wo Atta Karey..
"*._ Teri Jholi Khushiyon "*._ Sey Bhari Rahey..
"*._ Bin Mangey Hi "*._ Sab Atta karey..


Bahana Kyon Tarasha usne yon Rooth Janay Ka FÅRÅZ.......
Bus Itna Keh Deta K Dil Mein ab Jagah Nahi rhi!!!


Agar meri Mohabbat mein na thi pakeezgi itni
Tujhay tark-e-taaluk mein kiyon mushkil bani itni
Badal jao bhalay tum bhi magar ye zehan mein rakhna
Kahin pachhtawa na ban jaye hum say bay rukhi itni
Tujhay yon toot ker chaha wajood apna mita dala
KHUDA ko paa chukay hotay jo kertay bandgi itni...

Kabhi dekhy hain sehra mein jhulasty huaye darakht?....
Aisy hoty hain wafaon ko nibhany waly.........!


In khoye huwe ansoun se aqidat ha mjy b.
Teri tara zindgi se shikayat ha mjy b.
Tu agar nazuk hy to main b nai pathar.
Tanhai main ro deny ki adat hy mjy b.


Ham Chahte Thy Jinko Wo Dil Dukha Gaye,
Kuch Aise Log Thy Jo Hmko Rula Gaye,
Jin Logo Se Hmko Tawaqqo Wafa Ki Thi,
Wo Log Dil Se Naqsh-E-Wafa Tk Mita Gaye.


Hai Yaad Mulaqat ki Wo Shaam Abi Tak,
Mai Tujh ko Bhulane Mei Hn Nakam Aßi Tak,
Aa Tujh ko Dikhaon k Tere Bad Sitamgar,
Weeran Pare Hain Ye Dar-o-Baam(...)(...)

Kuch Rah_e_Ishq Ki Masti ThiKuch L0g Thy Hum Dewane Se
Jab Shehr Tera Ch0r Diya Dil Kh0b Lga Verany se
J0 Jan Se Bhi Pyary Thy W0 L0g Nzar Se D0r H0we
Ek Pyas C Dil Mei Uth'ti hai Ab Yad0n K0 D0hrane Se
Aey M0ut t0 Thehr zaraAkhir Mein Unk0 Dekh Tu L0n
Baat Fqat Ek Pal Ki Hai Inkar Nhi Mar Jane Se.

Log bas mohabbat ko panay ki baat krty hein,
Hum to usay nibhany ki baat karty hein,
Log chahty nahi 'CHAHAT' kochahat samajh kar,
Hum 'CHAHAT' ko chahat se chahny ki bat karty hein,
Log mohabbat ke smandar chahty hein paar karna,
Hum to bas doob jany ki baat karty hein

Muhabbat dukh tu deti hai,
Magar ek baat kehni ha,
K!
Jisko chaha jata ha,
Zarori ye nahi hota,
K!
Usko pa liya jaey,
Kabhi us kay bichrny se,
Muhbbt kum nhi hoti
zara c dair pehlay to
yahi ehsas hota hai
K!
Koi jee nhi skta
mgr phr rfta rfta hi
haqeeqat khulti jati hai
K!muhbbat woh nhi hoti
K!
Jisko pa liya jaiy
mhbbt woh b hoti hai
jo hamesha 7 rehti hai
kbi dukh k andheron main
kbi khushiyon k daman me
kbi wo aas deti hai
kbi umed deti hai..

Mujhey accha sa lagta hai,
Tumhare sang sang chalna,
Wafa ki aag main jalna,
Kabhi khud bhi routh jana,
Tumhari berukhi par bhi,
Tumhari aarzu karna,
Khud apne dil ki dharkan se,
Tumhari guftugu karna,
Mujhey accha sa lagta hai,
Bohot accha sa lagta hai,
Tumhin ko dekhte rehna,T
umhin ko sochtey rehna,
Bohot gehre khayalon main,
Mohabbat ke hawalon main,
Tumhara naam aa jana,
Mujhey accha sa lagta hai,
Tumhare sang sang chalna.

Mumkin Hai Chasham-e-Nam Ko Sitara Na Kar Sako..
Mumkin Hai Tum Bhi Koi Ishara Na Kar Sako..
Mumkin Hai Mere Begair Bhi Bita Lo Ye Zindagi..
Mumkin Hai Apne Sath Bhi Guzara Na Kar Sako..
Mumkin Hai Zehar De K Atta Kar Do Zindagi..
Mumkin Hai Ye Karam Dobara Na Kar Sako..
Mumkin Hai Mera Huqam Bhi Tum Ko Qabool Ho..
Mumkin Hai Iltejah Bhi Gawara Na Kar Sako..
Mumkin Hai Do Qadam Pe Badal Jao Rasta..
Mumkin Hai Umr Bhar Kinara Na Kar Sako...!

Tm Mil Jaao Mujhe To Youn Samjon Ga Faraz
Jannat Ka Elaan Ho Jese Kisi Gunahgar Keliye..


Mohbbat muqaddar hai ek khuwab nahi
ye wo rishta Hy jis me sab kamyab nahi
jinhe Sath mila unhe unglion par gin lo
jinhe mili judai unka koi hisaab nhi.


Khuwab Bhi Shayad kaanch se kamzoor hHotaY Hain..""DOST'''''
Har Rozz Bikhar JaataY Hain Faqat Ek Aankh k khulnay se...!!!

Wo jo hum me tum me qrar tha
Tme yaad ho k na yaad ho
Wohe yani wada nibha ka
Tme yad ho k na yad ho
Wo naye gilay wo shikayaten
Wo mzay mzay ki hkayaten
Wo hr ik bat pe roothna
Tme yad ho k na yad ho
Wo guzarna wasl ki rat ka
Wo na man'na kisi bat ka
Wo nahi nahi ki hr aan ada
Tme yad ho k na yad ho
JISSE AP KEHTE THE ASHNA
JISSE AP GINTE THE BAAWAFA
Me wohi hun momin.e.mubtla
tme yad ho k na yad ho
Mjhe sb hy yaad zra zra
Tme yad ho k na yad ho

Ye Barishain "
Yeh Barishain B Tum C Hain,
Jo Baras Gai To Bahaar Hain,
Jo Thehar Gai To Qaraar Hain,
Kabi Aa Gai Younhi Be Sabab,
Kabi Chaa Gai Younhi Roz-o-shab,
Kabi Shor HyKabi Chup C Hain,
Yeh Barishain B Tum C Hain,
Kisi Yaad Main Kisi Raat Ko,
Ek Dabi Hui C Raakh Ho,
Kabhi Youn Hua K Bujha Diya,
Kabi Khud Sy Khud Ko Jala Diya,
Kahein Bond Bond Main Gum C Hain,
Ye Barishain B Tum C Hain...!

~^~ Bujhay bujhay se ajeeb din hai
~^~ Na khawaab koi na kheyaal koi
~^~ Na manziron me koi kashish hai
~^~ Na mosamon me jamaal koi
~^~ Hum aik dujay ko apni apni
~^~ Adhori aankhon se dekhtay hai
~^~ Humari barson ki chahton pay
~^~ Utar raha hai zawaal koi
~^~ Jo Hansna chahein to Ashk niklein
~^~ Jo Rona chahein to Hanstay jaye
~^~ Humaray Jazbaat girvi rakh kar
~^~ Bana raha hai misaal koi

Badilon k darmian kuch aisi sazish hui
Mera miti ka ghr tha wahin barish hui
Falak ko adat thi jahanbijlian girane ki
Humko b zid thi wahin ashian bnane ki.

Tu Apnay Fun Say Meri Chaahat Ko Aazma K Dikha ;
Main Toot'ta Hon Tu Phir Say Mujhay Bana K Dikha...
Teray Badan Mein Lahu Ban K Dorrta Hon Main ;
Tujhay Anaa Ki Qasam Hai Mujhay Bhula K Dikha...
Main Itnay Dard Mein Bhi Qehqahay Lagata Hon ;
TU Aik Dukh Mein Mujhay Sirf Muskara K Dikha.

Yun akely mein usy ehd wfa yad ay
jaisy bndy ko musebat mein khuda yad ay
jaisy bhatky huy pnchi ko nashemannn apna
jaisy apno k bichrny py dua yad ay
jaisy dhlti hueee shamo ko sawairaaa koeee
jaisy pinjry mein parindo ko fizzza yad ay
jaisy borhy ko khyalaaat mein bchpn apna
jaisy bchy ko shararrrttt py szaaa yad ay
jaisy ujri hueee bsteee ko zmanaaa apnaaa
jaisy tofaaan k thehrny py diyaaa yad ay

Sadyion se jagi. ankhon ko,
Ek bar sulane ajao,
Mana k tum ko pyar nahi,
Nafrat hi jatane ajao,
jis mor pe hum ko chhor gaye,
Hum bethe ab tak soch rahe,
Kia bhol hui Q juda hue,
Bas ye smjhane ajao,
Hr lamha teri furqat me,
Hum tarap rahe hm taras rahe,
Mere humdum Tm is dil ko,
Kuch pal behlane ajao.

Haseen pal ki zarurat hai hamen.
Beete huwe kal ki zarurat hai hamen.
Sara zamana rooth gaya humse
Jo kabhi na roothe aese Yar ki zarurat hai hamain...?


Na poch kitna lutf in musafton mai ha!
Ghr us ka ab b Mare raston mai ha!
Sardiyun ki rat mai wo chand daikhna!
Psand uski ab b mari adton mai hai..

Mere toty howe dil me wo basa he ab b.
Lout aao k mere dil mein jagah hai ab b.
Usko apni jafaon se shkayat ho na ho.
Hum ko to apni wafaon se gila hai ab b!

Ye barisho ke mosam me hum kho rahy hy kio.
koi pochy aaky hum se hum roo rahy hen kio.
bd-bkhti ki dhoup jala kr rakh krti rahi.
khush bakhti ky lamho me hum soo rahy hen kio.
kitni thi kabi kush rang wo pakeza tamana.
rafta rafta us zindagi se hath dho rahy hen kio.
wo zalim to mere ashko pe bhi na pigla.
apni aas ko ansu se bhego rahy hen kio . . .

Saturday, August 22, 2009

Ik raat da jaagan bahut okha;
Ik jagda dukhi bimar raati;
Ya jaagda chor te thug raati.
Ya jaagda pehraidar raati;
Ya jaagda ishq di ramz wala;
Ya jaagda yar da yar raati;
WARIS Miyan sb hi so jandy;
Bs jaagda "PARWARDIGAR" raati.(Waris Shah)

Mujhey accha sa lagta hai,
Tumhare sang sang chalna,
Wafa ki aag main jalna,
Kabhi khud bhi routh jana,
Tumhari berukhi par bhi,
Tumhari aarzu karna,
Khud apne dil ki dharkan se,
Tumhari guftugu karna,
Mujhey accha sa lagta hai,
Bohot accha sa lagta hai,
Tumhin ko dekhte rehna,
Tumhin ko sochtey rehna,
Bohot gehre khayalon main,
Mohabbat ke hawalon main,
Tumhara naam aa jana,
Mujhey accha sa lagta hai,
Tumhare sang sang chalna.

Kisi sabab se agar bolta nahin hun main;
To yun nahin ke tujhe sochta nahin hun main;
Main tum ko khud se juda kar ke kis tarah dekhun;
Ke main bhi tum hun koi dusra nahin hun main;
Mere badan ki har eent men ana rakhi hai;
Main khud bana nahin banaya huwa hun main;
Mere wajood k andar mujhe talash na kar;
K is makaan mein aksar raha nahin hun main;
Main ek umr se khud ko talashta hun magar;
Mujhe yaqeen nahin, hun bhi ya nahin hun main..!


Rafaqton k silsly na toot jayen kahen,
kbi kbi milny ka silsla rkhna,
Mana k or log b hn tere qarib,
Lekin meri zat ko oron se juda rkhna.



Kash Tum Samajh Letay
Manzilon ki Chahat mein
Rasta Badalnay se
Fasla nahi Ghat'ta...
2 Ghari ki Qurbat mein
4 Pal ki Chahat mein
Log, Log he rehtay hain
Qafla nahi Banta..
Hath mein Diya le ker
Hont pe DUA le ker
Manzilon ki janib ko
Chal bhi den to kia hoga..?
Khawhishon k jungle mein itni Bheer hoti ha
K Umar ki Musafat mein..
RASTA nahi Milta..!
QAFLA nahi Milta..!
HUMSAFFAR nahi Milta..!
Shayed KUCH nahi Milta..!

Ye Jo be rukhi hai baja nhi, ye adayen kyu, ye ghurur kya ye guraiz kis liye is qadar, ye khafa khafa se huzoor kya
tujhe yad krna mazaaq tha, tujhe bhool Jana azab hai
ye saza hai Jurm-e-firaaq ki, mere haafzey ka qasoor kya
tere saath hai jo teri ana, mere saath mera naseeb hai
mujhe tujh se kesi shikayatein, tujhe khud pe Itna ghurur kya
Ye tumhara chehra kitaab hai, isay parh raha hun mai warq warq
zara baat saada likha karo, ye muhaawaron Ki satoor kya
sabhi phool tere naseeb mai sabhi khaar mere hisaab maiye
Jaza saza ka talism hai, mera tera is mai qasoor kya...!



{BE WAJHA}Is dard k bad koi dard dard nhi lagta,
K shiddat-e dard ki inteha hoti hai mohabat,
Nhi uthti wo ankhaen phir kisi pe,
K jin ankhon me ye fana hoti hai mohabat,
Umar bhar jin ka azala na kar pa ae,
Bas ek aesi hi khata hoti hai mohabat,
Jo mil jae to bas phir kia kehna,
Warna ek musalsal saza hoti hai mohabat,
Log mujh se har bar ye hi pochte hen tum ne us me dekha kia,
Me har bar ye hi kehta hon
{BE WAJHA} hoti hai mohabat.

Urny lagy wajod k zaray hawa k sath,
Main is qadr khloos sy bikhra kbhi na tha.
Dob gya souraj k sath dil b mra FARAZ,
Itna udas sham ka manzr kbhi na tha..


Taalash Meri thi aur BHATAK Raha tha WO
DIL Mera tha aur DHARAK Raha tha WO
PIYAR ka Taaluq Ajeeb hota hai Mohsin
Piyas Meri thi aur SISAK Raha tha WO .



"~Kisi apne ko khona wo kia jany
Bina nind k sona wo kia jany
Us shaks ne to mujh ko mehfilon mein muskuratey dekha hai
Meri tanhai ka rona wo kia jany.

Nafrton se Dil ko dukhaya or bhol gaye,
Do lamhe khushi me sath nibaya or bhool gaye,
Me koi Gham ka aanson to na tha
Jo Ankh se Giraya or bhol gye:


Wo Janta Hai Muj Se Sabar Nahi Hoga.
Wo Mere Dard Se Bekhabar Nahi Hoga.
Main Do Qadam Chalon Akeli To Dil Pukarta Hai.
Wo Sath Nahi Ab Mujh Se Safr Nahi Hoga!


Mäin tö bik jätä teray nääm pay Yöusäf ki tärhä,, FARAZ
Tù käbhi khäridär tö bän k ää Misär k bäzär mäin..?

Aye khuda suna hy k quboolyat ka aik waqt hota hy....
Phir tu hi bata k main ne usy kis pal nahi manga.


Na TUM baaz aao na HUM baaz aayein,
Barabar khafa hn barabar manayein,
Buht khoobsurat hn tewar tumhare,
Khafa ho agr bhi to lagte ho pyare,
Mere jee mn aaye GALAY SE LAGA LOON,
Adaa rooth jaane ki TUM se chura loon,
Tumhari adaa HUM tumhi ko dikhayen..
Na TUM baaz aao na HUM baaz aayein.


Dar badar ki saza se dartay hain,
Khushk pattay hain, hawa se dartay hain.
Aandhion se kabhi mohabbat thi hamen.
Ab to Baad-e-Saba se dartay hain.
Nafraton ne wo Lazzatein bakhshin.
Chahaton ki bala se dartay hain.
Logon k karam hain itnay.
Zindigi ki dua se dartay hain


Ye Bat Alg Ha K Hara Hon Na Jhuka Hon
Ik Umr Mgr Zulm Ki Chki Ma Pisa Hon
Ye Ks Ne Kaha Chaht_e_Betab Nhi Mj Ma
So Bar Gra Hon To Ma So Bar Utha Hon
Zkhmi Hon To Mghrur Smjte Hein Mje Log
Mghrur Sahi Janib_e_Mnzil To Chla Hon
Grd Utri To Chmkon Ga Usi TAAB Se Kl B
Kya Ghm K aj Ma Mitti Ma Mila Hon
Doon Sb Ko Ma Apni Sfai To Bhla Q?
Ma Samne Hon Sb K Bura Hon K Bhla Hon



Ajab karb ka Aalam hy meri basti par
Ghata b chaai hai barsat b nahi hoti
Bohot kuch kehna hai tum se aaj magar
Siley hain hont koi baat b nahi hoti
Ajeeb rang badalta hai asar ka suraj
K sham khafa hai or raat b nahi hoti
Mai us ki zaat ka hissa b ban nahi ska
Or Juda us se meri zat b nhi hoti.

Dil walon se kabhi siyasat nahi hoti
Husn walon ko wafa ki aadat nahin hoti
Hum se dosti zara sambhal k kijiyay
Hamari dosti ki qaid mein zamanat nahin hoti!


Tabeebon Sy kia Tu Poochay Ga (ELAAJ)Dard-e-Dil Ka,

Marz Jab Zindagi Khud Ho To Dawa Kesi...!!!


"Tu dhoond falak parBaagh-e-Iram apna to aqeeda hai "GHALIB"
"Jiss khaak pe do dil piyaar karain wo khaak bhi jannat hoti hai.


Raat phir hum se rahi neend khafa dair talak,
Yaad wo aaty rahy mast ada dair talak,
Dasht-e-tanhai mein ashkon ka sahara lay kar,
Hum ne mangi teray milnay ki DUA dair talak,
Janay kyun har mor pe milti rahi hay ,
Hum ko ik jurm-e-dosti ki saza dair talak...


Kon kehta hy nafraton men dard hy faraz
kuch muhabbaten be bri azeat nak hoti hn


Thori si ibadat bohat sa sila deti hay,
Gulab ki tarha chehra khila deti hay,
ALLAH ki yad ko dil se jane na dena,
kabhi kabhi choti si dua arsh hila deti hay.

Hasti ko mohabbt mai fana kon kare ga,
Yeh farz zamany mai ada kon karega,
Hathon ki lakeeron ko zara dekh najoomi,
Yeh dekh mere sath wafa kon karega?


Tere palko k ansuo s aqedat mje b he
Tere trha zndagi s shkayt mje b he
To agr nazuk he to me b ni ho pathar
Tanhai me ro dene ki adat muje b he...!

wo hairan ha hmare zabt per keh dö KATEL un se, j
o daman per nahe grta wö ansu dil per grta ha.


Bara ishq ishq tu karna ain,
Kadi ishq da gunjal khol te sai,
Tenu mitti vich na rol devay,
Do pyar dy bol, bol te sai,
Sukh ghat tey dard hazar milan,
Kadi ishq nu takri tol te sai,
Teri hasdi akh v pij javay,
Kadi sanon andron phoul te sai.



.......Lafzoon Ki Tamheed Mujhay Bandhni Nahi Aati.......
........Hum Aapko Yaad Krtey Hain Sedhi Si Baat Hai......!



in Barisho may hum bikher jain gay
Tum sath na do ge to kidher jain gay
Tum jahan b raho humain yaad karna
Hum barish ban k apke Qadmoo may baras jain gay.

"Us ne ~"Jaan"~ keh kr pukara to larz gai mery dil ki zamin
Peechy mur k dekha to wo~"Mukhatib"~Kisi Aur se tha.


Ye dil na jane kya kar betha?
Mujh se bina pooche hi faisla kar betha.
is zameen par toota sitara b nahi girta,
or ye pagal chand se mohabbat kar beth


Yad-e-mazi me jo ankho ko saza di jae
is se behtar hy k har bat bhula di jae
jisse thori c b umeed zyada ho kbi
aisi hr shama sar-e-sham jala di jae
mene apno k rawayon se ye mehsus kya
dil k angan me b diwar utha di jye
mene yaro k bichrne se b ye sekha
apne dushmn ko b jene ki dua di jae!


jatay Thy Mary Haq Main Sabi Faislay Mgr
Munsif Ny B Diya Har Bar Sath Usi Ka
1 Wo Hy K Tor Gaya Humsy Sabi Rishty
1 Dil Hy K Rahta Hy Trafdar Usi Ka

Dety hain kyon ye dard bas humi ko,
Kya samjhen ge wo in ankho ki nami ko,
Laakhon deewane hon jis Chand k,
Wo kya Mehsus krega ik humari kami ko...


Ye Aainey na dey sakain ge tujhe tere hussun ki tabeer "Faraz",...
Aa daikh meri Aankh mein tu kitna haseen hai......!..!


Koi juda ho Gya Koi Khafa Ho Gya
na Jane Zindgi Me Hamse Kya gunah Ho Gya
Bahut SAJDE kye KISI ko Pane K Liye
JIS sajde Me Usy Pana Tha Wo Humse QAZA ho Gaya


Yunhi umid dilaty hen zamany waly
Lot k kb atay hen jany waly
Tu ny dakha hai kabhi sehra main jhulasta hua darakht
Is tarh jeety hen wafaon ko nibhany waly.

Mere ishq ko nidhal kr
Kbi hijr ko b wisal kr
Meri ankh ko binai de
Mere qalb ko ujla kr
Mjy dars de tu FANA ka
Mera ishq mai bura hal kr
Mjy de saza koi sakht si
Mjy is jhan mai misal kr
Meri asl soorat bigar de
Kisi ishq bhati mai daal kr
Mjy b pila koi aisi shay
Kbi meri ankhen bi lal kr
Wo jo us jhan mai halal hy
Kbi is jha mai halal kr
Teri talab mai hon mai darbdar
Kbi is tarf b khyal kr.

"Hussn" Na Maang "Naseeb" Mang Aay "Dost",,,
"Hussn" Waley Akser "Naseeb" Walon K Ghulam Howa Kerty Hai.

Mjhy bar bar sada na de,
Meri hasrton ko hawa na de,
Mery dil main Aatish-e ishq ha,
Meri aag tjh ko jala na de,
Mera ishq ha meri zindgi,
Mera ishq ha meri bandgi,
Mjhy Ashiqon main shumar kr,
Mjhy Ashqi ka sila na de,
Main Gda nhi hun, fakeer hun,
Main Qlandron ka ameer hon,
Mjhy tjhsy kch nhi chahiye,
mjhy mangny ki ada na de,
Mjhy dard-o-soz-o-gudaaz de,
Mjhy apne ghm se nawaz de,
Tera dard bhi mere dil main ho,
Mjhy dard-e-dil ki dawa na de..!

Kbi yadon ki rimjhim me kbi sawan me rehta he
Wo tare ki trha ab chand k angan me rhta he
Diey sare bhuja k sham se ghar beith jata he
Wo 1 muddat se apne dil k sone pan me rhta he
Mre pehlu me hr dam dard ki kalyan chatakhti han
K ab hijr ka musam mre angan me rehta he
Kbi us ne muje khushbu ka sandesa nhi bheja
Jo shehar se pare kohsar k daman me rhta he
Lipat k mujse roti hain mri tnhaeyan shab bhar
K dil arse se tnhae k sonepan me rhta he.

Koi Achi si "SAZA " do mujko,
Chalo aisa karo "BHOLA" do mujko,
Apne "DIL" me basi "TASVIR" meri
Aisa karo "JALA" do usko,
Meri "WAFA" pe agar "SHAK" hai tumko,
Tu phir "NAZAR" se "GIRA" do mujko,
Muddat hogai hai tere "HIJR" me "JAGTE" howe,
Apni "SANSO" ki "HARARAT" se "SULA" do mujko,
Kuch "TARAS" karo apne "DIWANY" par,
jaam na sahi "ZEHER" hi pila do mujko,
Tum se "BICHRON" tu "MoT" aa jai,
Dil ki "GEHRAYON"se ye "DUA" do mujko.

Agar kabhi kitab likho
Chahton k naam likhna
Rafaqaton k naam likhna
Tmhari mujh se dosti ki
Wo Pehli pehli baat likhna
Payam likhna wo dosti ke
Qabuliat k muqam likhna
Wo hijr raaton ki baat likhna
Woh wasl-e-din ki mulaqat likhna
Ikhtatam-e- kitab aye to soch lena
Yaad krna
Aur
apna mera naam likhna.

woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zamana laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya
kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch or ha
meri justajoo koi or ha

Udas tha jab dilbohat,
To kisi ne khyalon me aa kr,
Yaadon k kuch dheep jala kr,
Kaha tha ye muskura kr,
Udas jb tm huwa kro,
To yad muje hi kia kro,
Me hon boht Qareeb tmhare,
Tanha na khud ko kaha kro,
YUN UDAS UDAS NA RAHA Kro.

Parvin Shakir: LAST GHAZAL.
A moaj-e-Hawa Tu hi batta !!
Wo Dost humara Kesa Hai.?
Jo BhooL Chuka Hai hamain Kab se!
Wo Jaan se pyara Kesa Hai.?
Kya us K Jeewan Lamhon mein...
Koi Lamha mera baaqi Hai.?
Kya us Ki Jaagti aankhon mein,,,
meri Yaad abhi bhi baaqi hai.?
ager aisa nahi to !!
tu hi batta,,,
Hum Yaad usey Kyun Kartey Hain.?
Wo Hum se
bichar K Khush Hai ager!
To pall pall Hum Kyun MARTEY hain.?
A "moj-e-hawa" tu hi baata..!!

Wo jo Roop"Zer-e-NaQaab" tha,,,
Usay Dekhna mera "Khawaab" tha,,,
Jo mila tha "Hijer"ki shakal mein,,,
Meri "Chahatoon" ka Azaab tha,,,
Ye "sawaal" tha k milaa karo,,,
Na mila karo ye "jawaab" tha,,,
Jisay dekh kar main "Tarap" utha,,,
Teri Aankh me wo "Hijaab" tha,,,
Meray paas thi meri "Tashnagi",,,
Teray paas"Jaam-e-sharaab" tha,,,
tera piyar tha meri "Shayiri",,,
tere aankh meri "kitaab" tha..

"Ajab tamasha gar hain matti k putlay Saqi...
"Bewafai karo tu rote hain agar wafa karo to rulate hain...!!

Dil main hota to Mumkin tha Nikal bhi Jata..!!
Ab to wo Shakhs Bohat Door Talak ha Mujh Me!

^ Teri isi Bewafai par to fida hai jaan apni FARAZ ^
^ Khuda jaane tujh me Wafa hoti to kya hota ^

Mohbt wahid aisa khel hai 'Faraz'..
jo seekh jata hai wohi haar jata hai..


Waqt ki dhoop ho ya tez andhian.,
kuch Qadmon k Nishan kbi nei Khotay.,
Jinhen yaad kr k muskra den aNkhein.,
wo Log dor ho kr bi dor nei hotay.


Uddaasi ki to ab aadat si hai humain,
Khushiyon ko ab Dil anjan kehta hai,
Chahat thi jis ki wo nhi hua apna,
Youn to apna humein saara jahan kehta hai...!

Mere Jazbon Ki Sachai Ab Bhi Wesi Hai,
Tum Bin Meri Tanhai Ab Bhi Wesi Hai,
Ab Kiya Ehsas Dilana Tum Ko Apne Dard Ka,
Tumhari La Parvahi Ab Bhi Wesi Hai.

-Aap ki Mehak in Hawaon men hay,
Kuch apna apna Sa pan in fizaon men hay,
Khushiyan choome ap k Qadam hammesha,
Yehi Aarzu in Duaon men hay...!i¡

Ajab bemaqsad hai Silsila-e-Ishq bhi
Yeh lamha humse guzara nahi jata
Nahi door tak jeet k aasaar magar
Na jane kyun humse haara nahi jata.


Wo Mere Chehry Py Likha Har Malal parh Ly,
Wo Meri Har Soch Har Khayal parh Ly,
itna Bakamal Ho (Mohsin)
Wo Shakhs K,
Meri AankhoN Se Mere diL Ka HaaL parh Ly.

Kitna Adhura
Lagta hai
Sab Kuch,
Jab Baadal ho
orBarish na ho,
Jab Z¡ndagi ho
orPyar na ho,J
ab Ankha¡n hon
orKhuwab na hon,
orJab dost ho
orSath na ho..

Mana K Kuch Dilo Me Nafrat Hoti Hai.
Par Har Dil Me Koi Hasrat Hoti Hai.Insaan
Us K Aage Kyon Majbur Ho Jata Hai.
Jis Se Use Be Panah Mohobbat Hoti Hai.


*"*"*DÜA*"*"*
Möhåbtåin sådå terå nåsééb hön,
Pürkhålöös chåhåtåin terå nåsééb hön
Terå hår låmhå hö khüshyön bhårrå,
Pürsåköön råhåtåin terå nåseb hön.

Saturday, August 8, 2009

aye dil


shikwa 4


shikwa 3


shikwa 2


shikwa 1


jawab-e-shikwa 4


jawab-e-shikwa 2


jawab-e-shikwa 3





Tuesday, August 4, 2009

iss qadar tm py toot k pyaar atta hai

baandh lain haath pe, seeny pe saja lain tmko
gee mai atta hai k taweez bana lain tmko

phir tumhain roz sunwarain, tumhain barhta dekhain
kion na angan mai chanbeeli sa laga lain tmko

jaisy baloon main koi phool chuna kerta hai
gher k guldaan main phulon sa saja lain tmko

iss qader toot k tum pe hamain pyar atta hai
apni bahon main bharain k jaisy maar hi dalain tmko

hai tmhary liye kuch aisi aqeedat dil mai
apny haathon mai duaoon sa utha lain tmko

ab to bus eik hi khuwahish hai kisi mor per tum
hm ko bikhery huey mil jao..........

Ye pal bhar ki musafatien ye dooriyan or faslien
Tum chaho tu kuch ajab nahi ye pal bhar may basar ho jaen
Na tum kaat sako gay tanha na may kaat sakounga
Ye zeest ke kutthan rastay aao humsafar ho jaen

ishq pamaal hua

sochta hun mere pyar ka kia haal hua
meri arzuoon ka itna kion qatl-e-aam hua

wo by khaber tha mai kaisy maan jao
pyar ka ameen tha wo kion kr by-aitbaar hua

mujhy bharoosa tha bohut apni chahaton py
meri chahaton ka nilaam b to sar-eaam hua

jaan sy aziz tha hmko ishq ka taqadus
phir b ishq hmara, gali gali pamaal hua

chamka tha wo jo zulmaton main ujala ban ker
andheron mai wahi ajj, by naam-o-nashan hua

javeed bohut naz tha mujhy haseen shamo py
wo mujhsy juda b eik aisi shaam hua......

aj b

Aj B Ek Muddat Se Tuje Dekha Nhi
Aj B Tu Zehan Se Utra Nahi
Aj B Aata Hai Tu Tout Kar Yaad
Aj B Me Raat Bhar Soti Nahi
Aj B Me Sachi Hun Apne Ishq_O_Wafa Me
Aj B Mera Wada Jhota Nahi
Aj B Roti Hun Me Kar K Tje Yaad
Aj B Ashk Khushk Hua Nahi
Aj B Dekhti Hun Tuje Khuwab Me
Aj B Mera Khuwab Such Hua Nahi
Aj B Qaim Hun Me Apne Zabt Pr
Aj B Me Tout Kar Bikhri Nahi

tum

Meri Chahtien Tum Se Alag Kab Hain
Dil Ke Battein Tum Se Chupe Kab Hain
Tum Sath Raho Dharkan Ki Jaga
Phir Zindage Ko Sanso Ke Zarorat Kab Hai

yaad

Kuch Yadein Yaad Rakhna
Kuch Battien Yaad Rakhna
Umer Bhar Sath Rahein Ya Na Rahein Hum
Hum Sath Rahi Thi Kabhi Bas Wo Pal Yaad Rakhna

Khubsurat Hai Wo Itna Saha Nahin Jata
Kesey Hum Khud Ko Ruk Len Raha Nahin Jata
Chand Mien Dag Hen Yeh Jante Hum Hen Lekin
Rat Bhar Dekhey Bina Usko Raha Nahin Jata Khubsurat Hai Wo Itna Saha Nahin Jata
Jo Mera Ho Nahin Paayega Ies Jahan Mien Kahin Ruh Ban Kar Milunga Usko
Asma Mien KahinPyar Ies Zameen Pey Farishtun Sey Kya Nahin Ata
Khubsrat Hai Wo Itna Saha Nain Jata
Un Nigahun Mien Mohabat Nahin
To Kahu Or Kya Hai
Par Wo Mujh Sey Yeh Khe Raha Wo
Jo Kisi Or Ka Hai
Zara Sa Jhot Bhe Dhung Sey Kaha Nahin Jata
Khubsurat Hai Wo Itna Saha Nahin Jata
Ankh Mien Qaid Kiye Betha
Mien Ek Hassin LumhaJab Mien Ies Niend Sey Jagunga To Dil Totey Ga
Wo Mujhy Khab Kue Kun Dekha Nahin Jata
Khubsurat Hai Wo Itna Saha Nahin Jata

dil

Tanha Hoon Magar Aap Ki Yaad Mere Pass Hai
Aap Nahi To Aapka Ehsaas Mere Pass Hay
Sun Sakta Hoon Aap Ki Dharhkan Ki Kahani
Itna Tu Mera Dil Aap K Dil K Pass Hay