Saturday, August 22, 2009

Ye Jo be rukhi hai baja nhi, ye adayen kyu, ye ghurur kya ye guraiz kis liye is qadar, ye khafa khafa se huzoor kya
tujhe yad krna mazaaq tha, tujhe bhool Jana azab hai
ye saza hai Jurm-e-firaaq ki, mere haafzey ka qasoor kya
tere saath hai jo teri ana, mere saath mera naseeb hai
mujhe tujh se kesi shikayatein, tujhe khud pe Itna ghurur kya
Ye tumhara chehra kitaab hai, isay parh raha hun mai warq warq
zara baat saada likha karo, ye muhaawaron Ki satoor kya
sabhi phool tere naseeb mai sabhi khaar mere hisaab maiye
Jaza saza ka talism hai, mera tera is mai qasoor kya...!



{BE WAJHA}Is dard k bad koi dard dard nhi lagta,
K shiddat-e dard ki inteha hoti hai mohabat,
Nhi uthti wo ankhaen phir kisi pe,
K jin ankhon me ye fana hoti hai mohabat,
Umar bhar jin ka azala na kar pa ae,
Bas ek aesi hi khata hoti hai mohabat,
Jo mil jae to bas phir kia kehna,
Warna ek musalsal saza hoti hai mohabat,
Log mujh se har bar ye hi pochte hen tum ne us me dekha kia,
Me har bar ye hi kehta hon
{BE WAJHA} hoti hai mohabat.

0 comments: