Ye Wujood Tery Wujood Se,
Ye Hayat Teri Hayat Se,
Tery Pyar Mein Khuloos Hy,
Main Mutmaeen Teri Baat Se..
Wo Haseen Chehra Udaas Hai,
K Juda Hoa Meri Zaat Se,
Mujhy Din Mein Aa K Mila Karo,
Mujhy Khauf Aata Hai Raat Se..
Hai Jo Pyar Agr To Khayal Rakh,
Mujhy Dukh Na Ho Kisi Baat Se.!
Zalim Tha Wo Or Zulm Ki Adat Bhi Bohat Thi,
Majboor Thay Hum Us Se Mohabat Bhi Bohat Thi,
Waqif Hi Na Tha
Rasm-e-Mohabat Se Wo Warna,
Dil K Liye Thori Si Inayat Bhi Bohat Thi.
Yun Hi Nahi
Mashhur-e-Zamana Mera Qatil,
Us Shakhs Ko Is Fun Mein Maharat Bhi Bohat Thi.
Hum to Nazuk Hein Bilkul kisi Ehsas ki Tarah,
Tum Na Socho ge Humen to Mar Jayen ge!
Pas Raho ya Dur Itna Khyal Rakhna,
k Tum Na Dekho ge Humen to Mar Jayege,
Titliyon Me or Hum Me Yahi Bat Hai Mushtrik,
Pakar k Jab Choro ge Humen To Mar Jayen ge,
Dil ki Tehni Pe Hi Khila Rehne Do Humari Muhabbat ka Phool,
Jab b Tehni Se Toro ge To Mar Jayen ge.
Kabi Na Milna Hum Se, Moj e Darya Ban k,
Mil k Bichro ge Hum Se To Mar Jayen ge.
WAFA" k name ek dastan likh raha tha,
MUSHKIL" lafzon ko asan likh raha tha,
WAFA" ki talash me sara jahan likh raha tha,
NA" mili wafa to lafz nakam likh raha tha,
NAHI" milty dhondny se bhi wafa karny waly,
ESLIYE" sary jahan ko be wafa likh raha tha,
NA" karna pyar kabi zindagi me mary dost,
MILTI" hy pyar me ruswai ye bar bar likh raha tha,
KION" karty hen pyar me itny wady log ,
PYAAR" me toty hoy wady hazar likh raha tha.
Gila ker kay mohabat ko kabi reswa nahi kertay. Wafein der haqiqat min bari anmol hotin hin.kabi apni wafon ka sila manga nhi kertay..
Ap ki yadon ka mehal banaya hum nay
Arzo ka diya is main jalaya hum nay
Yad anay walay tujhay meri kasam koi wo lamha bata
Jis main tujhay bhulaya hum ne.
Kese zinda rahe in sazisho k mausm me
Ab koi khawish b nhi khawisho k mausam me
Use mjse mohbt thi kuch is tarha jesé
halki c dhup ho barisho k mausam me..
Friday, November 6, 2009
Posted by keenlyken at 8:06 AM 0 comments
Labels: Poetry
Ek judai ka lamha hy k milny nahi deta
Ek tera khayyal hay k bikhrnay nahi deta,
Ek teri yad hay k zinda hain aj tak
Ek tera pyar hay k marny nahi deta.
Aaj unse milne ko Dil chahta hai
Pas beith ker baat karne ko Dil chahta hai
Itna haseen tha uska mananey ka andaz
Aaj phir rooth jane ko Dil chahta hay
Aaj unse milne ko Dil chahta hai
Pas beith ker baat karne ko Dil chahta hai
Itna haseen tha uska mananey ka andaz
Aaj phir rooth jane ko Dil chahta hay
Bohat Mushkil Hai K Tu Kar Lay Meri Chahato Ka Andaza..
Meri Chahato Ka Samandar Teri Soch Say Bhi Gehra Hai...
Hum ny hans hans
k ahl-e-wafa ka
bharam rkha...""
Hum be ro laitay agr ishq mai jhootay hotay...
¤~¤BIN TERE¤~¤
Bin tere hr baat adhuri lagti hai
Bin tere hr raat adhuri lgti hai
Kho jaon main jab b teri yaadon main
Mujko meri zaat adhuri lgti hy...
RAAT Ka Ek Pegham Dena He
Apko RAAT Ka Last SALAM Dena He
Guzre Saari Raat Apki Sakoon Sa
Apki Raat Ko Khubsurat Sa Naam Dena He
barish k mausam main
Faqat itna hi kehta hai
Udasi be-waja si hai
Bohot bojhal tabiayt hai
Bhala sach q ni kehta
usay muj sy mohabat hai.
="Tum Hanso to Kushi mujhy hoti hä"
="Tm rotho to Ankhein mri roti hein"
="Tm dor jao to Becheni mujy hoti ha"
"Mehsos kr k dekh lo DOSTI äisi hi hoti hä~..
Bandh Raka Ha UsKi Yad Ne Mazi Se Muje
Wrna Guzre Hoe Lamhat M Kya Raka Ha
Wo Jo Mil Jaye Tu or Kya Khuda Se Mangon
Wo Alag Ho Tu Meri Zat M Kya Raka Hai.¤¤¤
Posted by keenlyken at 8:01 AM 0 comments
Labels: Poetry
Kahin tanha na kar de tujhe munfarid rehne ka shoq faraz...
Jab din dhale to kisi se haal-e-dil keh diya kar.
Kaanch ka tohfa na dena kabi,
Rooth k log tor diya krty hen,
Jo bht achy hon unsy pyar na krna,
Aksar achy log he sath chor diya krty hen.
¤Zindagi to bary Imtehan leti hai FARAZ,
Mout achi hai jo Pochti b nahi aur galy laga leti hai¤
Jin ankhon me teri yadain basi hain
unhe tere liye barste dekha hai
kal kuch lamhe bitaye thay tere saath
aaj khud ko un lamho k liye tarste dekha hai.
Ishq qaatil sy B, maqtool sy hmdardi B
Ye bta kis se mhabt ki jza mangy ga
Sajda Khaaliq ko B, iblees se yarana B
Hashr mein kis se aqeedat ka sila mangy ga?
Na DIL se DIL ko juda
"KiJiYe"
Zra soch smjh kar ye faisla
"KiJiYe"
Agr AP jee sakty hai
"Bin Humary"
To phr humary marny ki dua
"Kijiye'
Ek Khawb sarhany rakh do na
Aj muj pr inayt kr do na
Zara chupke se khamoshi se
Izhar e muhabt kr do na
khud ko kr k dewana sa
Mera pyar amar tum
Hadon ki Qaid se
tu karo Azad
Mujhe,
Dil me Bsaya hy
Tu ankon me
Utar lo Mujhe,
Mere Sabhi Jazbon
me hy Pakizgi
ka Rang,
Tum jis Rishte se
Chaho pukar
lo mujhe
Teri muskurahat meri pehchan hy,
teri khushi mera aarmaan hy,
kuch bhi nahi meri zindagi bus itna samajh le,
teri Dosti hy to meri
"J"A"A"N" hy.
Posted by keenlyken at 7:27 AM 0 comments
Labels: Poetry
1 sakon manga zara or wo sunaty mily.
Ab daby paon tmhari yaad b ati nhi.
Wo milta hai abi tak muskra kr hi mgr!
1 gira jo pr gyi hai dil mai wo jati nhi.
Kisi k sath guzry pal bary rangeen hoty hain
Mohabat k ye Roz-o-shab bary haseen hotey hain
ishq krna hy to pehly bikharney ka hunar sikho
Ishq me haadsey Aksar barey sangeen hotey hain.
Kbi fursat me Aa k dekh is viraan sey ghar me.
Kisi ki yad me hum B bary ghamgeen hotey hain.
Ap khush rhe Khuda kare
mra di£ yh¡ dua kare
apke hoNt muskraen sada
apkii ankh sada hansa kre
apki bazm sada saji rahe
sda bahar apki gali rahe
ap gham se kbi ashna na ho
ap zeest me kbi tanha na ho
zndagi m na kuch khoye ap
mzaq me B na royen ap
apka hr khwab pura ho
koi sapna na kbi Ådhora ho.
Posted by keenlyken at 7:26 AM 0 comments
Labels: Poetry
Urny lagy wajood k reizay hawa k sath,
Mai is qadr khloos sy bikhra kbhi na tha,
Souraj k sath doob gaya mera dil b aaj,
Itna udas sham ka manzr kbhi na tha.
Mein Dosti Ka Farz Nibhana Chahta Hoon,
Rishte Ki Gehrai Aazmana Chahta Hoon,
Jo Barish Ki Boondon Mn Mere Aansu Pehchan Le,
Ek Dost Aisa Banana Chahta Hoon.
Ghazal Likhon K, ishaar Likhon..
Yehi tera Andaz hai K Payar Likhon..
Agr Apni Qismat Likhny Ka Zara ikhteyar ho mujhe,
To Apne Naam K Sath tujye hr bar Likhon.
Posted by keenlyken at 7:25 AM 0 comments
Labels: Poetry
Kitna bebas hy insan kismat k aage.
Har sapna toot jata hy haqeekat k aage.
Jisne kabhi jhukna nahi seekha duniya main,
Wo Bhi jhuk jata hy MOHABBT k aage.
Posted by keenlyken at 7:25 AM 0 comments
Labels: Poetry
Usay kehna,
Tumhein Hum Kesay Bhool Saktay Hain,
K,
Ye Gulab B Tera Aks Hai,
Ye Sitara B Tera Naqsh Hai,
Ye Chand Tumhari Chahat Hai,
Bas Tujko Hi Sochtay Rehna,
Apnay Dil Ki Rahat Hai,
Usay Kehna,
Tumhein Hum Yad Kartay Hain,
Pooray Chand Ki Raton Me,
Sab Khushi Ki Baton Me,
Kbi Sawan Me,Barsaton Me,
Kbi Be-Jan Lamhon Me,Kbi Anjan Raston Me,
Tumhein Hum Yad Kartay Hain,
Tumhein Hum Kesay Bhool Saktay Hain..
Posted by keenlyken at 7:24 AM 0 comments
Labels: Poetry
"Teray Lab Se Yun Muskrana Acha Lagta Hai...
Baar Baar Nazrain Jhukana Acha Lagta Hai...
Tumhain Maloom Hai Mujhe Shikast K Naam Se Nafrat Hai...
Lakin Tum Se Haar Jana Acha Lagta Hai...
Main Tumhain Is Liye Baar Baar Tang Karte Hoon...
Tum Roth Jao To Mujhe Manana Acha Lagta Hai...
Sünö. . . . !
Jab barish bersa kerti hay//
Ør her søø paani høta hay//
Hum apnay gher k aangan mein//
Amer-bail k saaey mein//
Bøøndøn kø daikha kertay hain//
Ør
Tum kø søcha kertay hain/
Sünö. . . !
Jab raat siyaah hø jaati hay//
Ør chaandni phaila kerti hay //
Hum apnay gher k aangan mein//
Chhup k apnay bister mein//
Taarøn kø daikha kertay hain//
Ør
Tum kø søcha kertay hain...
Posted by keenlyken at 7:22 AM 0 comments
Labels: Poetry
Fana kay Shehar Mei Yaroo! Baka Kise ki Nai,
Chirag Sab k Bujein Ge Hawa kise ki Nai...
Aruss-e-Zeesat se Jin ko wafa ki Hy umeed,
wo khoob jan lein yeh
Dil-Ruba kise ki nai...
Ab drindo se na hewano se dar lgta hai,
Kia zamana hai k insano se dar lgta hai.
Izzat e nafs kisi shakhs ki mehfuz nhi,
Ab to apne he nigehbano se dar lgta hai.
Dunkay ki choat pe zalim ko bura kahn gy,
Mujhe soli se na zindano se dar lgta hai.
Khon rezi ka yeh alam hai Khuda kher kare,
Ab musalmano ko musalmano se dar lgta hai.
Bum dhamako se Sabhi khof zadah aise hn,
Ghar mn rkhe hue guldanon se dar lgta hai!!
Posted by keenlyken at 7:22 AM 0 comments
Labels: Poetry
¤ Jamaal-e-Yaar ko Dekhoon, Kamaal-e-Yaar se Pehlay,,
* Main Khushbu ki Tarah Mehakoon, Khayaal-e-Yaar se Pehley..
¤ Karishmay Hussan k Suraj, Sitaray, Phool Zahir hain,,
*Magar Main kis Taraf Dekhoon, Misaal-e-Yaar se Pehlay..
¤Duaon main Meri Yun to Bohat Taaseer Ha Lekin,
*Main KHUDA se or kya Maangoon, Swaal-e-Yaar se Pehlay.
¤Ha Aadat Door Rehnay ki,
Agar wo Saamnay Aaye,,
Posted by keenlyken at 7:21 AM 0 comments
Labels: Poetry
Band dareechy,
Sooni galiyan,
Andekhy anjany log...
Kis nagri mein aa nikly hain,
Pagal, hum deewany log...
Ek hum hi na-waqif thehry,
Roop nagar ki galiyon se,
Bhais badal ker milny waly,Sab jany pehchany log...
Shikwa kya aur shikayat kesi,
Aakhir kuch bunyad tou ho,
Tum per mera haq hi kya hai?
Hum thehry begany log...
Shehr kahan khali rehta hai,
Ye darya her dam behta hai,
Aur bohat se mil jayen ge,
Hum jesy deewany log...
Hum theray begany log...
Posted by keenlyken at 7:20 AM 0 comments
Labels: Poetry
MAA Sath Hai to Saya-e-Qudrat Bhi Sath Hai.
MAA k Bagher Lage Din Bhi Raat Hai.
Main Door Jaon To Us ka Mere Sar Pe Hath Hai.
Mere Liye To Meri MAA Hi kayenat Hai.
Daaman Main MAA k Sirf Wafaon k Phool Hain.
Hum Sare Apni MAA k Qadmon ki Dhool Hain.
Aulad k Sitam Use Hans kar Qubool Hyn.
Bachon ko Baksh Dena Hi MAA k Usool HYn.
Din Raat Us Ne Paal Pos k Bara kya.
Girne Laga to MAA Ne Mujhe Phir khara kya.
Posted by keenlyken at 7:19 AM 0 comments
Labels: Poetry
Jab baap ki izaat kho jay
Jab qoum ki ghairat sou jay
Jab bhai club ko jate ho
Or behno ka haq khate ho
Jab maa ki nazren jhuk jaen
Alfaz labon tak ruk jay
Jab ghar ghar mein sur taal chalay
Or aurat nangay baal chalay
Jab rishwat sar charh k bole
Or tajir jaan k kam tolay
Phir jab yeh sub kuch hota hai
Rab ghafil hai, na sota hai
Phir us ka kahar barasta hai
Karoon zameen mein dhansta hai
Phir jab wo pakar pay aata hai
Firaon bhi ghotay khata hai
Qom-e-Aad b zer-o-zabar hui
Quraan mein is ki khabar hui
Yeh sub ibrat hai kafi
Ab bhi wakt hai aaj mang lo Allah say maffi...
Posted by keenlyken at 7:18 AM 0 comments
Labels: Poetry
Dekho aik laash pri hy
Lahu me lithri, khaak aaluda, bikhri bikhri
Ghair ya apna, kon hy jane
Aao dehkein or pehchaney
Naqsh mita dalay goli ne
Rangat khoon me doob gai hy
Jaib tatolo kia rkha hy
Ye do khoon se tar gajrey hen
Das das k do note rkhe hen
Haath jo neeche dba hua hy
Is ki sakht garift me kia hy
Shayad hy school ka basta
Ye ek parcha hy, khat hy shayed
Tooti phooti c urdu me
Rangeen pencil k rango se likha hua hy
"Aj jo bhoolay basta mera
Katti ho jye gi aap se
Toffee or biscuit b lana
Pyare abbu jaldi ana"
'HATE TERRORISM'
Posted by keenlyken at 7:17 AM 0 comments
Labels: Poetry
Usy Apny Dard Ki Fikr Thee Wo Jo Mera Waqif e Hal Tha,
Wo Jo Uski Subho Arouj Thee Wohi Mera Waqat e Zawal Tha,
Mera Dard Wo Kaisy janta Meri Baat Wo Kaisy Manta,
Wo Tou khud Fana K Safar Mai Tha Usy Rokna B Mahal Tha,
"Kahan Jao Gy Muje Chor Kar" Mai Pouch Pouch K Thak Gaya,
Wo Jawab Mujko Na Dy Saka Wo Tou Khud Sarapa e Sawal Tha,
Wo Mila Tou Sadiyo K Baad B Mairy Lub P Koi Gila Na Tha,
Usy Meri Chup Ny Rula Dya Jisy Guftugu Mai Kamal Tha..
Posted by keenlyken at 7:16 AM 0 comments
Labels: Poetry
Mjay manzilon say azez tar hain teri rahguzar ki musafitaien,
k likhi hain meray naseb main abi umr bar ki musafitaen
,isi aik pal ki talash main jsay log khtay hain zndagi
,teri rahguzar main bikhr gayin meri umr bar ki musafitaen.
Mohabat har shaks ko azmati hai
kisi se rooth jati hai kisi pe muskurati hai
Ye khel hi kuch aisa hai
koi dhondta hai umer bhar
kisi ko pal mai mil jati hai
Toot jae na bharam,hont hilaon kese..!
Haal jesa bhi hy,logon ko sunaon kese...!
Khushk ankhon se bhi ashkon ki mahik aati hy
Main tere gham ko zamane se chupaon kese...!
TU hi bata meri yaadon ko bhulane wale...!
Main teri yaad ko is DIL se bhulaon kese.!
Phul hota to tere dar pe sajja bhi rahta
ZAKHM le kar teri dahleez par aon kese...!
Tu rulata hy to rulaa mujhe ji bhar k....!
Teri ankhen hain meri,main in ko rulaon kese.
Posted by keenlyken at 7:14 AM 0 comments
Labels: Poetry
Meri chahat tha wo meri ana bhi tha,
mere khamosh lehjon ki wo ik sada bhi tha,
rehta tha subh-o-sham wo mere wajood main,
meri aawaz mera lehja wo meri ada bhi tha,
deta tha mujhko zakham wo be-hisaab magar,
hamdard bhi tha mera wo meri wafa bhi tha,
ab uske ziker pr aksar ma khamosh rehta hun,
kabhi meri muhabbat ki wo inteha bhi tha,
ajab kash-ma-kash thi meri zindagi main
poojna usy bhi tha aur dil main KHUDA bhi tha.
Posted by keenlyken at 7:14 AM 0 comments
Labels: Poetry
Ae RUB Apne pass meri dua Amanat Rakhna
Rehti Dunia tak Usko Salamat Rakhna
meri Ankhon k Sare deep Bhuja de magar
Uski Ankhon k Sare Khwab Salamat Rakhna.AMEEN.
Bheegi rutoñ men aksr
Palkoñ pe ashkoñ k Chragh saja kr
Aaj b
Najane q
Tujhe aankhen talash krti hen
Teri yadeñ udas krti hen
Tanhaioñ k dasht-e- verañ men
Chahaten damn me samete
Wisal k pur nor lmhoñ me
Ksi milan ki aas lekr
Tujhe hasrteñ talash krti hen
Teri yadeñ udas krti hen...
Posted by keenlyken at 7:12 AM 0 comments
Labels: Poetry
Khulein jo lab to Dua dain Aapko,
Har Roz naie zindagi kHUDA de Aapko,
Agar ek khushi ki Aarzoo kro Aap,
"KHUDA"
khushiyon ka Darya de Aapko.
Bichar k phir melain gy yaqeen kitna tha,
Tha to ek khawab haseen kitna tha,
Mery zawal se pehlay wo mujh ko chor gaya,
Haseen to tha hee,Zahin kitna tha.
Posted by keenlyken at 7:11 AM 0 comments
Labels: Poetry
Adat Badal Dun Kese Tere Intzar Ki
Ye Bat Ab Nahi Ha Mere Ikhtiyar Ki
Dekhte Nahi Tujh Ko Phir B Yad Krte Hain
Bas Aisi Hi Khushbu Hai Dil Me Tere Piyar Ki.
Yakeen hy k Tu agar Soorat dikha jaye
Mera udas sa jeevan Qarar paa jaye
Tumhari yad kuch is tarah mere Dil se lipti hai
K jese phol par Titli ko nend a jaye.
Posted by keenlyken at 7:02 AM 0 comments
Labels: Poetry
Ye us ki saza ti ya meri,
malom na hua,
silsila dosti ka kb tota malom na hua
hm nay hr hal main nibanay ki ,
ki thi koshish,magar us k dil main kya tha
malom na hua ,malom na hua.
Lamha lamha gar
ujra hai
mushqil say ehsas hua,
pathar ayay barson pehlay,
sheshay totay barson bad
,bol bi jao ks nay tora kaisay tora kyn tora
,dond rahay ho kya galiyon main dil k tukray,barson bad
Posted by keenlyken at 7:00 AM 0 comments
Labels: Poetry
Tujhy Yaad Karty Hain Naam-e-KHUDA K Baad,
Kabhi Subah Sy Pehly Kabhi Shaam K Baad,
Dil Ki Deewaron Per Tera Naam Likhty Hain,
Kabhi Fursat Mein Kabhi Kaam K Baad,
Mery Marny K Baad B Loog Pukaaren Gay Tujhy,
Kabhi Mery Naam Sy Phely Kabhi Mery Naam K Baad.
Usay kehna ye dunia hy!
Yahan har morr pe aesay bahut se log milte hyn!
Jo andar tak utarty hyn!
Abad tak sath rehne ki!
Akathe dard sehne ki!
Hamesha baat karte hyn!
Use kehna ye dunia hy!
Yahan har shaks
Posted by keenlyken at 6:59 AM 0 comments
Labels: Poetry
*Q teri khamoshi muje khamosh kr jati hy.
*Q teri udaasi muje udaas kr jati hy.
*Kya rishta *TERA or *MERA.
*Q hr pal teri yaad muje stati hy.
*mene lakH roka khud ko tuje yad krne se.
*Q phr teri yad meri roh me smati hy.
*kehdo apni yado ko muje na rulaya krain.
*Q phr raato ko muje neend nhi aati hy.
"Ajab Tamasha Gar
Hain Ye Matti
k
Putlay.........!!
"Bewafai karo Tu
Rote Hain
Agar Wafa karo To
Rulate
Hain.........!!
Posted by keenlyken at 6:58 AM 0 comments
Labels: Poetry
Main qaza k hathon ko choom loon
Meri ye dua jo qabol ho
K meri lehad ki jo khak ho
Meri maa k qdmo ki dhool ho. Aamin
Hm unhain yaad aatay hain
Mgar fursat k lamhon me,
Lekin ye b sach hai yaro...
Unhain fursat nhi milti..!!
Itny anmol thay k khareed na ska koi hum ko.
Hairaan hoon k teray hathon bikaa to bikaa kaisay!
Posted by keenlyken at 6:57 AM 0 comments
Labels: Poetry
Bin maangay he mil jati hen taabirain kisi ko Mohsin,
Koi khali haath reh jata hay hazaron duaon k baad.
Dosti ka dava karney waley hum ny dekhey hain"FARAZ"
Jinhen hum aziz to hain magar apni Masrofiat k baad...
Apni wafa ka itna daawa na kr "DOST"
Main ne rooh ko jism se bewafaai kartey dekha hai.
Guftagu achi lgi
zok-e-nazr acha lga
Mudaton k bad koi
hmsafr acha lga
Mnzilon ki bat choro
kisne paein manzilin
ek safr acha lga
ek hamsfar acha lga..
Posted by keenlyken at 6:54 AM 0 comments
Labels: Poetry
Kafi wqt lga hmei ap tk aane ma
Kafi fryad ki khuda se ap ko pane ma
Yun ap hmai bhol na jana
Hm ne to umar lga di ap jaisa DOST pane ma.
Unki Nazr ko Fursat na mili Sochny ki,
Wrna mra Marz itna La-aIlaj na tha,
Hum ne to wahan b mohbt ki "faraaz"
Jis Shehr me Mohbton ka Riwaj na tha.
Ajeeb lagti hy shaam kabi kabi,
Zindagi lagti hy bejaan kabi kabi,
Samajh aaye to hamein b batana k,
Kyon karti hain yaadein pareshan kabi kabi.
Posted by keenlyken at 6:53 AM 0 comments
Labels: Poetry
Mil k bicharna dastoor hai zindagi Ka,
Ik yehi qissa mashhoor hai zindagi Ka,
Beete hue pal kabi lout k nahi Aate,
Yehi sab se bara qasoor hai zindagi Ka.
Posted by keenlyken at 6:53 AM 0 comments
Labels: Poetry
Mil k bicharna dastoor hai zindagi Ka,
Ik yehi qissa mashhoor hai zindagi Ka,
Beete hue pal kabi lout k nahi Aate,
Yehi sab se bara qasoor hai zindagi Ka.
Posted by keenlyken at 6:53 AM 0 comments
Labels: Poetry
Tumhari "Dunya" se chale jane k bad
Hum Tumhen
Har ek"Tare" mei nazar aya karege
Tum har"Pal" koi"DUA" mang lena
Or "HUM" har bar "Toot" jaya karenge
Ae chand!
Kuch dair zamin pe Aana
Aaj ki Shab un k ghar ko hai Jana
Nazuk Sa DiL hai unka,
Darwaza Baray pyar Se khat'khtana
Puchay agar,
koi aany ki waja,
Tu kSi choti Si Baat pe uLjhana
Yaad rakhna Jadoo hai unki baaton mai
Wo Laakh rokein magar TuM Lot aana!
Ae chand kuch dair zamin pe aana.
Posted by keenlyken at 6:52 AM 0 comments
Labels: Poetry
Kathan safr hai mohabton ka sarab rastay hain soch lena
Wo chor jatay hain ik qadm pr jo sath chaltay hain soch lena
Ye reet tum na nibah sko gay na sang rehny ki baat krna
K ishq walon ki rehguzr mei CHANAB atay hain soch lena
Tumhain kaha tha k bn k apna freb deta hai ye zamana
Tumhain kaha tha k astino main saanp pltay hain soch lena
Wo dil ki duniya jahan pay bichr gaya tha koi apna
Wahan pay ab b meri wafa k chirag jalaty hain soch lena..
Posted by keenlyken at 6:50 AM 0 comments
Labels: Poetry
Ya *RAB* meri *MAA* ko lazawal rakhna,
Main rahon na rahon meri *MAA* ka khayal rakhna,
Meri khushiyan bhi ley ley meri sansain bhi ley ley,
Magar meri *MAA* k gird sada khushiyon ka jaal rakhna.
Apni Hasti Mita k B Tanha Hun
Ma Sab Kuch Pa K B Tanha Hun
Log Door Tak Jate Hain Kisi k Liye
Our Ma Us Ko Pa K B Tanha Hun
Posted by keenlyken at 6:49 AM 0 comments
Labels: Poetry
¤Zindagi to bary Imtehan leti hai FARAZ,
Mout achi hai jo Pochti b nahi aur galy laga leti hai¤
Kal Rat Maine Apni Dil Se Bhi Taluk Torr diya faraz
Kambakht tujhe Bhool Jane Ki Bat Karta Tha...
Keh Dia Humnay bhi Dunya ko Aaj Alvida
"Faraz"
Dhaltay Sooraj k sath Aaj humko bhi Doob Jana hai...
Posted by keenlyken at 6:47 AM 0 comments
Labels: Poetry
Jab Tere Sheher Mein Raha karte Thay,
Hum Bhi Chup Chaap Jiya karte Thay,
Aankhon Mein Piyas Huwa karti Thi,
Dilmen Toofan Utha karte Thay,
Log Aatey Thay Ghazal Sunne,
Hum Teri Baat kiya karte Thay,
Ghar ki Diwaar Sajane ke khatir,
Hum Tera Naam Likha karte Thay,
Aaj Teri Tasveer Dekhi Tou YAAD Aaya,
kabhi Hum Bhi MOHABBAT kiya karty thay
Posted by keenlyken at 6:45 AM 0 comments
Labels: Poetry
Kuch raat ki aankhen bhigi thin"
Or chand b rootha rootha tha"
Kuch yaaden uski baqi thin"
Or dil b toota toota tha"
kis mor pe bichre yaad nhi"
Honton pe koi faryad nhi"
Us wade ki b khabar nhi"
Wo scha tha ya jhoota tha"
Hr lamha aahain bharte hen"
Bus aik dua hi karte hen"
Ay kash wo wapis aajay.
Ay kash wo
Wapis aajay.......
Posted by keenlyken at 6:45 AM 0 comments
Labels: Poetry
Sham k ujalon par..
Apne narm hathon se..
Koi baat achi si..
Koi khwab sacha sa..
Koi bolti khushbu..
Koi sochta lamha..
Jab b likhna chaho ge..
Soch k darichon se
Yaad k hawalon se
Mera naam chupke se
Tum ko yaad aaye ga,
Hath kaamp jain ge sham thehar jaye gi
Meri yad aaye gi
MERI YAD AAYe GI
Posted by keenlyken at 6:44 AM 0 comments
Labels: Poetry
Sham k ujalon par..
Apne narm hathon se..
Koi baat achi si..
Koi khwab sacha sa..
Koi bolti khushbu..
Koi sochta lamha..
Jab b likhna chaho ge..
Soch k darichon se
Yaad k hawalon se
Mera naam chupke se
Tum ko yaad aaye ga,
Hath kaamp jain ge sham thehar jaye gi
Meri yad aaye gi
MERI YAD AAYe GI
Posted by keenlyken at 6:44 AM 0 comments
Labels: Poetry
Yunhi anjanay main us say rafaqat ho gai,
Dil lagi kernay chalay
aur
us say chahat ho gai,
wo na ho to main khud say hi ulajhta hon,
kia karo mujhay us ki Aadat ho gai,
Main apnay vajood mein us ko talaash kerta hon,
Mujhe us say is qadar muhabbat ho gai,
Mere pass Aao to jee loon do pal,
Meri to her saans us ki amaanat ho gai,
Main sochta tha us k aagay zindagi kia hai,
Per usy chahne kay liye zindagi zaroori ho gai...
Posted by keenlyken at 6:44 AM 0 comments
Labels: Poetry
Abi Waqt Hy Mujhe Chor Jaa,
Abi Maslehat Ka Muqaam Hy,
Abi Qaaflon Ka Qayaam Hy,
Abi Dastras Men Hy Zindagi,
Abi Chashm'e Nam Men Hy Roshni,
Abi Naqsh'e Paa Ko Sabaat Hy,
Abi Kuch He Dair Ki Baat Hy,
Abi Waqt Hy Mujhe Chor Jaa,
Abi Gard Raah Se Urri Nahi,
Abi Kirchiyon Men Batey Nahi,
Abi Her Nazara Haseen Hy,
Abi Subh'e No Ka Yaqeen Hy,
Abi Ham Kinaron Pe Hen Kharey,
Abi Waqt Hy Mujhe Chor Jaa,
Ye Safar Nahi Ye Azaab Hy,
Yahan Her Qadam Pe Sarab Hy,
Yahan Bad'Gumani Ka Raaj Hy,
Yahan Be'Wafai Rivaaj Hy,
Abi Hosh Khoney K Din Nahi,
Abi Tere Roney K Din Nahi,
Abi Waqt Hy Mujhe Chor Jaa,
Abi Saari Nagri Andher Hy,
Abi Din Nikalne Men Dair Hy,
Abi Behr'e Eshq Men Na Utar,
Abi Shehr Sara Hy Be'Khabar,
Abi Waqt Hy Mujhe Chor Jaa....!!!
Posted by keenlyken at 6:43 AM 0 comments
Labels: Poetry
Dil se hr pal chahat ki sada aati hy,
yaad muje teri hr ada ati hy,
Qurban ho jaye meri jan teri khushion par,
phir yaqeen ho tuje k hmain b wafa aati hy.
"Hum jo Majbur hain Wafa k liye,
"Trastay rahy Ek Sada k Liye,,
"Tujko Mangon Or tu Na miley,,
"Ye soch k Haath uthtey Nhi Dua K Liye.
Posted by keenlyken at 6:41 AM 0 comments
Labels: Poetry
juda hone se mohabat kam nhi hoti,
lakh gham mile pr ankh nam nhi hotI.
ye kesa silsila hai tumhare humare darmian.
fasle jitne bhi ho chahat kam nahi hoti.
Dil ko reza reza kr dena hasrat thi unki
ye ap kya jano k kya fitrat thi unki
hum to unki ankho me aansu seh nhi sakte
par hum ko rula dena aadat thi unki
Posted by keenlyken at 6:41 AM 0 comments
Labels: Poetry
Woh jo kabhi kehta tha, hum juda hon to kia ho?
Aj wohe kehta hai "AAP MERI LAGTI KIA HO?"
,*,
Woh beparva hi sahi Dost to apna hy
~ Faraz ~
Aadat ki baat aur hy , woh dil ka Bura nahi
Posted by keenlyken at 6:40 AM 0 comments
Labels: Poetry
Teray ikhlas se mohabat ki hai,
teray ehsas se mohabat ki hai,
tu meray paas nahi hai phir bhi,
teri yaad se mohabat ki ha,
Kabhi tu ne bhi mujhe yaad kia hoga,
mai ne un Lamhat se mohabat ki hay..
.jin mai hon sirf teri or meri batain,
main nay un oqaat se mohabat ki hay,
or jo mehkay ho sirf teri he mohabat se
maine un jazbaat se mohabat ki hay,
tuj se milna to ab khuawab sa lagta hay,
maine teray intzaar se mohabat ki hay.
Posted by keenlyken at 6:38 AM 0 comments
Labels: Poetry
Zindgi bewafa q hoti hy
mohabt ki saza q hoti hy
choti c bat py baha deti hy anso
insan ma itni ana q hoti hy
krta ho ma jis se bar bar tooba
Elahi muj se wohi khata q hoti hy
ura k ly jy jo greb k ashiyany ko
ya Rab esi hawa q hoti hy
Bnaty to ha hm apny hatho se masjd
namaz pher apni hi qaza q hoti hy
Najane kia hoga na mil sake agar tum.
Sans to chale gi par zinda na honge hum.
Dil main gile to honge bhut.
Magr khamosh rahenge phir b hum.
Na chaha tha na chahenge ksi ko itna.
Ji liya shayed bas jena tha jitna.
Bas phir khuda sy 1 dua karenge hum.
Tum humen bhool jao or zindagi ko hum.
Meri b sari khushiyan milain tujhe.
Tere gham b cheen laienge hum.
Agar aisa hojaye to.
Haar k b jeet jaengay hum.
Posted by keenlyken at 6:37 AM 0 comments
Labels: Poetry
Woh manzilain b kho gayeen,
Woh raastay b kho gaye,
Jo aashna sy log thay,
Woh ajnabi sy ho gaye,
Na chand tha na chandni,
Ajeeb thi woh zindagi,
Chiraag thy k bujh gaye,
Naseeb thay k so gaye,
Yeh pouchty hain raastay,
Rukky ho kis k wastay,
Chalo tm b ab chalo,
Wo mehrban to kho gae....
Posted by keenlyken at 6:36 AM 0 comments
Labels: Poetry
Jo khushi tumhary qarib ho wo sada tumhain nasib ho.
Tujhy wo khaloos mily k jo teri zindagì par muheet ho.
Jo mayar tujhko pasnd ho jo tumharay dil ki umang ho.
Teri zindagi jo talab kary tery hamsafar ka wo rung ho.
Jo khayal dilme aseer ho aur dua mai bhe taseer ho.
Tery hath uthatey he KHUDA kary tery samnay tabeer ho.
Tujhy wo jahan milay jidhar ghamun ka koi guzar na ho.
Jidhar roshni ho khuloos ki aur nafraton ko khabr na ho.(AMEEN).
Posted by keenlyken at 6:36 AM 0 comments
Labels: Poetry
Kaha tha na
Is trah sote hue chor k mat jana.
Mujhy beshaq jga dena,bta dena!
Tmhen rasta bdalna hai,meri had se nikalna hai.
Tmhen kis bat ka dar tha?
Tmhen jane nahi deta?
Kahin pe qaid kr leta?
Ary pagal!
Mohabat ki tabyt main zbardasti nhi hoti.
Jise rasta bdalna ho usy rasta bdalne se,
Jise had se nikalna ho use had se nikalne se,
Na koi rok paya hai,na koi rok paye ga.
Tmhen kis bat ka dar tha?
Mujhy beshaq jga dete.
Mn tmko dekh hi leta.
Aur tum ko dua deta.
Tumhare bad mery pas kuch b nahi baqi,
Mgr phir b khone se darta hon,
main ab sone se darta hon.
Posted by keenlyken at 6:36 AM 0 comments
Labels: Poetry
Khowabo se haqiqat ma aa k chale jao
Bas 1 jhalk apni dikha kar chale jao
Hum DILSE dil milane ki b zehmat na denge
Faqat nazron se nazren mila k chly jao.
Guzre Dino Ka Khayal Rakhna,
Wafa Ki Matti Sambhal Rakhna,
Tm Bhulado Mjhko To Koi Bat Nhi
Mera To Haq Ha tm ko Hr Dua Main Yad Rkhna.:-:
Har dost se achi baat karna fitrat hay hamari
har dost khush rahe hasrat hay hamari
koi hum ko yaad kare na kare
har dost ko roz yaad karna aadat hay hamari.
Posted by keenlyken at 6:32 AM 0 comments
Labels: Poetry
In Phoolon Ka Muqaddar Kabhi Ek Sa Nahi Hota
¤"' WASI '"¤
Kabhi Sehra Ki Sajawat Bante Hain
To
Kabhi Qabron Ki Ronaq..
:Tujhe pyar mera satayae ga aksar,
Yadon k tufan uthaye 'ga aksar,
Zikar mera karny sy pehly,
Tu kuch sooch k muskraye'ga aksar,
Mera naam likh kr ki
Posted by keenlyken at 6:32 AM 0 comments
Labels: Poetry
"Har Kisi Se Jo Hum Ne Wafa Ki"
"ßus Yehi Zindagi Main Khata Ki"
"Chahaton K Hajoom Main Tanhai"
"Mujh Ko Doston Ne Hi Atta Ki"
"Soz-e-Dil Yunhi Nahi Mila Hum ko"
"ßari Keemat Thi Is Ki Jo Adaa Ki"
"Jo Hamara Na Ho Saka Hum Ne"
"Us K Wastey Hi Dua Ki... !
Posted by keenlyken at 6:24 AM 0 comments
Labels: Poetry
"Har Kisi Se Jo Hum Ne Wafa Ki"
"ßus Yehi Zindagi Main Khata Ki"
"Chahaton K Hajoom Main Tanhai"
"Mujh Ko Doston Ne Hi Atta Ki"
"Soz-e-Dil Yunhi Nahi Mila Hum ko"
"ßari Keemat Thi Is Ki Jo Adaa Ki"
"Jo Hamara Na Ho Saka Hum Ne"
"Us K Wastey Hi Dua Ki... !
Posted by keenlyken at 6:24 AM 0 comments
Labels: Poetry
¤."Ayse to kisi shakhs ko ruswa nhi kartay".?.
.¤."Apno k sitam par koi shikwa nahi
krte".?.
.¤."Manzil pe pohachne ki talab hoti he jinko".?
.¤."Raston pe kharre ho k
wo socha nhi
kartay".?
.¤."Rakhte hain jo auron k liye pyaar ka jazba".?
.¤."Wo log kbi toot k bikhra nhi kartay.....,.??,
Posted by keenlyken at 6:22 AM 0 comments
Labels: Poetry
Roz kisi ka intazar hota hai
Roz ye dil be-qarar hota hai
Kaash k koi dil ki baat samajh pata
Chup rehne walon ko bhi kisi se pyar hota hai!
Konsa Zakhm Tha Jo Taza Na Tha,
Zindgi Mai Itne Gham Thy K Andaza Na Tha,
Un Ki Jheel c Ankhon Ka Is Mai Kiya Qasor,
Dubne Walon Ko Gehrai Ka Andza Na Tha...
Posted by keenlyken at 6:16 AM 0 comments
Labels: Poetry
Chand ki simt nazar jaye to kya hota hy?
Rat ksi ki yad me guzar jaye to kya hota hy?
Kitni masoom ada se wo mujhe pochta hy
Jab koi dil me utar jaye to kya hota hy?
Mere Mola Tu faqt itna bta de usko
Admi jeete ji mar jaye to kya hota hy?
Koi anjan se shaks ka kisi pichle pehar
Aks ankhon me thehr jae to kya hota hy?
Dard de k mujhe vo hansta raha or bola
Dard jab had se guzr jaye to kya hota hy?
Posted by keenlyken at 6:16 AM 0 comments
Labels: Poetry
Dil Tour Dia Mera Ab zehar B Pila Dena..
Kafan Na Mile To chader Hi Urha Dena.
Koi Pooche K Marz Kia Tha..
To Nazrein Jhuka Kr 'Mohabbat' Bata Dena.
Barasne k baad badal gira nai karte,
Murjhane k baad phool khila nai karte,
Doston ki ahmiat ko samjha karo dear,
Qu ke bicharne k baad Dost mila nai karte.
KHUDA KARE Hr Rat Chand Ban k Aye
Din ka Ujala Shan Ban k Aye
Kbi Na door ho Ap k Chehry Se Muskuraht
Hr Naya Din Asa Mehrban Ban k Aye..
Posted by keenlyken at 6:16 AM 0 comments
Labels: Poetry