Jab baap ki izaat kho jay
Jab qoum ki ghairat sou jay
Jab bhai club ko jate ho
Or behno ka haq khate ho
Jab maa ki nazren jhuk jaen
Alfaz labon tak ruk jay
Jab ghar ghar mein sur taal chalay
Or aurat nangay baal chalay
Jab rishwat sar charh k bole
Or tajir jaan k kam tolay
Phir jab yeh sub kuch hota hai
Rab ghafil hai, na sota hai
Phir us ka kahar barasta hai
Karoon zameen mein dhansta hai
Phir jab wo pakar pay aata hai
Firaon bhi ghotay khata hai
Qom-e-Aad b zer-o-zabar hui
Quraan mein is ki khabar hui
Yeh sub ibrat hai kafi
Ab bhi wakt hai aaj mang lo Allah say maffi...
Friday, November 6, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment